Breaking News

एक तारा बोले तुम अंतर्यामी

Gurudev Guru Om, Namah Shivaya
Namah Shivaya, Namah Shivaya
Shiva
Guru Om, Jaya Jaya Sada Guru
Shiva Om, Jaya Jaya Sada Shiva

Aapke ke darbar mein hum aagaye
Phool shraddha ke chaddane
aagaye
Aap ke kadmo mein meri zindagi
Aap ki leela sunane aagaye
Phool shraddha ke chaddane
aagaye

Guru mata pita, Guru bandhu sakha
Tere charanon mein swami mere koti pranam
Priyatam tumhi Prananath tumhi
Tere charanon…
Tumhi Bhakti ho, tumhi Shakti ho
Tumhi mukti ho mere Sambashiva
Tumhi Prerna, tumhi Sadhana
Tumhi Aradhana, mere Sambashiva
Tumhi Prem ho, tumhi Karuna ho
Tumhi Moksh ho, mere Sambashiva

Guru Satsang hai Pran se Pyara
Isme beheti hai Amritdhara Amritdhara, Amritdhara…
Kitne Janmon se pyasa tu
Kabhi sambhla aur kabhi gira tu
Guru vani ne tujko pukara
Isme beheti hai…
Chod Aham ko ja tu Sharan mein
Dal dukhon ki Gatari charan mein
In charano ne sabko hai tara
Inmein beheti hai…
Zehar tera woh pile kshan mein
Pralay ho jaye Karmon ke pal mein
Tu bhi banja Guru ka Dulara
Yahan beheti hai…

Kuch na Bhed raha ab Man me
Hey Guru tum ho mere Nidhan
Ved puran hai Tujme samaye
Ramayan hai Tera saar
Geeta mein to Shabdh tumare
Mahabharat mein tera gyan
Kuch…
Ye Sansar tum hi Rachaye
Levath tum ho sabka Bhar
Karam dharam sab tere Arpan
Kaise karun mein tera Bayaan
Kuch…

Janam Janam se Tum ho Swamy
Main hun Charan ki Daasi
Aayi Sharan mein he Guru Gyani
Guru Darshan ki pyaasi….
Saavan tum ho boondh main tumri..
Saagar tum ho leher main tumri
Janam janam…
Jeevan Tum ho Pran main jiski…
Bhajan jo Tum ho lai hu main uski
Janam janam…
Ravi to Tum ho Kiran mai tumri….
Shankar Tum ho Gana hun main tumri
Janam janam…

Guru Brahma Guru Vishnu
Guru Devo Maheshwaraha
Guru Sakshat Parabrahma
Tasmayshree Gurave Namaha

Guru charanam mein baithe kar
Aise asu aye
Koti mere karmadharm
Pavan mujhe banaye
Guru charnam mein
Bas gayo mochit
Naman karu mein pal pal nit nit
In charanam ki mahima apaara
Jharat jharat choote sansara
Chalat chalavat jaye hari chit
Naman karu mein pal pal nit nit
In charanam ko parai durlabh
Moksha dwar ye kahat guni sab
Kishan hui hari kirpa bahuit
Naman karu mein pal pal nit nit
In charanam par vishwa khade hain
Sukh vaibhav siddha yee hi pade hain
Sumira karat hi hota param hita

Satguru tumare pyar ne
Jina sikha diya
Hamko tumare pyar ne
Insaan bana diya
Rahte hai jalwe aapke
Nazro me har ghadi
Masti ka jaam aapne aisa pila diya
Bhula hua tha raasta
Bhathka hua thar mai
Kismat ne mujko aapke kabil bana diya
Jis dinse mujko aapne
Apna bana liya
Dono jahan ko das ne sabse bhula diya
Jinse kisi ko aaj tale
Sajda nahin kiya
Woh sar bhi maine aapke dar par jhuka diya

Ek Tara Bole Guru teri Vaani
Ek Tara Bole tum Antaryami
Ek Tara Bole tum Antargyani
Ek Tara Bole tum Sarvagyani
Ek Tara Bole tum Sukhdani
Ek Tara Bole tum Janmani
Ek Tara Bole tum mere Swami

Chalo re man Guru ke dwar
Guru naam ki nauka aisi
Karegi bhav se paar
Chalo re man Guru ke dwar
Aaj tu daani kal bhikari
Aaj tu hasta kal dukhbhari
Guru charano me tu rajasaela
Maya pehnaye haar
Chalo re man Guru ke dwar
Guru gyan se tri jholi bharenge
Tere sare samshay harenge
Guru dwar kitu kundi khadka
Milenge krishna murar
Chalo re man Guru ke dwar

Om Jyotirmaya Karunamaya
Sadagurave namah Om
Om Gyanmaya Om Premamaya
Antarjyoti Guru
Mamayatmasangaat Guru
Om Pranamaya, Paramanandmaya,
Shantimaya, Sukhamaya
Satgurave Namah Om
Om Tejomaya, Kripamaya, Parabramhamaya,
Sachidanandmaya
Antarjyoti Guru
Om Trigunateet Guru

Tuhi Tuhi … Tuhi Tuhi…
Tuhi Tuhi…. Tuhi Tuhi… (L/H)
Wahe Guru Wahe Guru
Wahe Guru Wahe Guru (L/H)
Jaya Guru Jaya Guru
Jaya Guru Jaya Guru (L/H)

Jahan Jahan Guru charan dhare
Wahan Wahan mere dil bhich jaye
Aisa rang chadhe gurudeva
Diya Koi rang chad na paye
Tere siba koi naam nahin
Tere siba koi dhyar nahin
Tere siba koi chahat nahin
Tere siba koi lakshya nahin
Chahe Ram kaho Ghanshyam kaho
Guru naam se koi pyare nahin
Chahe Krishna kaho Siyaram kaho
Siyaram kaho Mahadev kaho
Guru naam se koi pyara nahin
Tere siva koi dard nahin
Tere siva koi dava nahin

Om Guru Om Guru Parag Paraguru
Omkara Guru tavasharanam
Sukhakar shubakar hey parameshwara
Brahmaparapar tavasharanam
Om Guru Om Guru…
Namami Brahma Namami Vishnu
Namami Shankar bhaya haranam
Om Guru…
Chidananda Guru chitswaroopa Guru
Shankara Sadguru tavasharanam
Om Guru Om Guru…

Gurudeva bolo gurudev bolo
Gurunaam gao gurunaam gao
Gurudev malik ishwar prapak
Anandayak dandh nivarak
Gurusangath hi jeevan savanre
Paramanand ke kholte hain dware
Gurudev bolo gurudev bolo
Prem se bolo bhav se bolo
Shraddha se bolo bhakti se bolo

Check Also

vatt-tree

वट वृक्ष की धार्मिक विशेषताएं

हिंदू धर्म में वट वृक्ष को एक पवित्र और पूजनीय पेड़ माना जाता है, जिसे शक्ति, दीर्घायु, और समृद्धि का प्रतीक माना जाता है। इस पेड़ में....