Breaking News

तिथियों और नक्षत्रों के देवता तथा उनके पूजन का फल

74

विभाजन के समय प्रतिपद् आदि सभी तिथियां अग्नि आदि देवताओं को तथा सप्तमी भगवान सूर्य को प्रदान की गई। जिन्हें जो तिथि दी गई, वह उसका ही स्वामी कहलाया। अत: अपने दिन पर ही अपने मंत्रों से पूजे जाने पर वे देवता अभीष्ट प्रदान करते हैं।

सूर्य ने अग्नि को प्रतिपदा, ब्रह्मा को द्वितीया, यक्षराज कुवेर को तृतीया और गणेश को चतुर्थी तिथि दी है। नागराज को पंचमी, कार्तिकेय को षष्ठी, अपने लिए सप्तमी और रुद्र को अष्टमी तिथि प्रदान की है। दुर्गादवी को नवमी, अपने पुत्र यमराज को दशमी, विश्वेदेवगणों को एकादशी तिथि दी गई है। विष्णु को द्वादशी, कामदेव को त्रयोदशी, शंकर को चतुर्दशी तथा चंद्रमा को पूर्णिमा की तिथि दी है। सूर्य के द्वारा पितरों को पवित्र, पुण्यशालिनी अमावास्या तिथि दी गई है। ये कही गई पंद्रह तिथियां चंद्रमा की हैं। कृष्ण पक्ष में देवता इन सभी तिथियों में शनै: शनै: चंद्रकलाओं का पान कर लेते हैं। वे शुक्ल पक्ष में पुन: सोलहवीं कला के साथ उदित होती हैं। वह अकेली षोडशी कला सदैव अक्षय रहती है। उसमें साक्षात सूर्य का निवास रहता है। इस प्रकार तिथियों का क्षय और वृद्धि स्वयं सूर्यनारायण ही करते हैं। अत: वे सबके स्वामी माने जाते हैं। ध्यानमात्र से ही सूर्यदेव अक्षय गति प्रदान करते हैं।दूसरे देवता भी जिस प्रकार उपासकों की अभीष्ट कामना पूर्ण करते हैं, संक्षेप में वह इस प्रकार है:
प्रतिपदा तिथि में अग्निदेव की पूजा करके अमृतरूपी घृत का हवन करे तो उस हवि से समस्त धान्य और अपरिमित धन की प्राप्ति होती है। द्वितीया को ब्रह्मा की पूजा करके ब्रह्मचारी ब्राह्मण को भोजन कराने से मनुष्य सभी विद्याओं में पारंगत हो जाता है। तृतीया तिथि में धन के स्वामी कुबेर का पूजन करने से मनुष्य निश्चित ही विपुल धनवान बन जाता है तथा क्रय-विक्रयादि व्यापारिक व्यवहार में उसे अत्यधिक लाभ होता है। चतुर्थी तिथि में भगवान गणेश का पूजन करना चाहिए। इससे सभी विघ्नों का नाश हो जाता है। पंचमी तिथि में नागों की पूजा करने से विष का भय नहीं रहता, स्त्री और पुत्र प्राप्त होते हैं और श्रेष्ठ लक्ष्मी भी प्राप्त होती है। षष्ठी तिथि में कार्तिकेय की पूजा करने से मनुष्य श्रेष्ठ मेधावी, रूपसंपन्न, दीर्घायु और कीर्ति को बढ़ानेवाला हो जाता है। सप्तमी तिथि को चित्रभानु नामवाले भगवान सूर्यनारायण का पूजन करना चाहिए, ये सबके स्वामी एवं रक्षक हैं। अष्टमी तिथि को वृषभ से सुशोभित भगवान सदाशिव की पूजा करनी चाहिए, वे प्रचुर ज्ञान तथा अत्यधिक कांति प्रदान करते हैं। भगवान शंकर मृत्य्हरण करनेवाले, ज्ञान देने वाले और बंधनमुक्त करने वाले हैं। नवमी तिथि में दुर्गा की पूजा करके मनुष्य इच्छापूर्वक संसार-सागर को पार कर लेता है तथा संग्राम और लोकव्यवहार में वह सदा विजय प्राप्त करता है। दशमी तिथि को यह की पूजा करनी चाहिए, वे निश्चित ही सभी रोगों को नष्ट करने वाले और नरक तथा मृत्यु से मानव का उद्धार करने वाले हैं। एकादशी तिथि को विश्वेदेवों की भली प्रकार से पूजा करनी चाहिए। वे भक्त को संतान, धन-धान्य और पृथ्वी प्रदान करते हैं। द्वादशी तिथि को भगवान विष्णु की पूजा करके मनुष्य सदा विजयी होकर समस्त लोक में वैसे ही पूज्य हो जाता है, जैसे किरणमालौ भगवान सूर्य पूज्य हैं। त्रयोदशी में कामदेव की पूजा करने से मनुष्य उत्तम भार्या प्राप्त करता है तथा उसकी सभी कामनाएं पूर्ण हो जाती हैं। चतुर्दशी तिथि में भगवान देवदेवेश्वर सदाशिव की पूजा करके मनुष्य समस्त ऐश्वर्यों से समन्वित हो जाता है तथा बहुत से पुत्रों एवं प्रभूत धन से संपन्न हो जाता है। पौर्णमासी तिथि में जो भक्तिमान मनुष्य चंद्रमा की पूजा करता है, उसका संपूर्ण संसार पर अपना आधिपत्य हो जाता है और वह कभी नष्ट नहीं होता। अपने दिन में अर्थात् अमावास्या में पितृगण पूजित होने पर सदैव प्रसन्न होकर प्रजावृद्धि, धन-रक्षा, आयु तथा बल-शक्ति प्रदान करते हैं। उपवास के बिना भी ये पितृगण उक्त फल को देनेवाले होते हैं। अत: मानव को चाहिए कि पितरों को भक्तिपूर्वक पूजा के द्वारा सदा प्रसन्न रखे। मूलमंत्र, नाम-संकीर्तन और अंश मंत्रों से कमल के मध्य में स्थित तिथियों के स्वामी देवताओं की विविध उपचारों से भक्तिपूर्वक यथाविधि पूजा करनी चाहिए तथा जप-होमादि कार्य संपन्न करने चाहिए। इसके प्रभाव से मानव इस लोक में और परलोक में सदा सुखी रहता है। उन-उन देवों के लोकों को प्राप्त करता है और मनुष्य उस देवता के अनुरूप हो जाता है। उसके सारे अरिष्ट नष्ट हो जाते हैं तथा वह उत्तम रूपवान, धार्मिक, शत्रुओं का नाश करनेवाला राजा होता है।

इसी प्रकार सभी नक्षत्र-देवता जो नक्षत्रों में ही व्यवस्थित हैं, वे पूजित होने पर समस्त अभीष्ट कामनाओं को प्रदान करते हैं। अश्विनी नक्षत्र में अश्विनीकुमारों की पूजा करने से मनुष्य दीर्घायु एवं व्याधिमुक्त होता है। भरणी नक्षरे में कृष्णवर्ण के सुंदर पुष्पों से बनी हुई मान्यादि और होम के द्वारा पूजा करने से अग्निदेव निश्चित ही यथेष्ट फल देते हैं। रोहिणी नक्षत्र में ब्रह्मा की पूजा करने से वह साधका की अभिलाषा पूरी कर देते हैं। मृगशिरा नक्षत्र में पूजित होने पर उसके स्वामी चंद्रदेव उसे ज्ञान और आरोग्य प्रदान करते हैं। आर्द्रा नक्षत्र में शिव के अर्चन से विजय प्राप्त होती है। सुंदर कमल आदि पुष्पों से पूजे गए भगवान शिव सदा कल्याण करते हैं।

पुनर्वसु नक्षत्र में अदिति की पूजा करनी चाहिए। पूजा से संतृप्त होकर वे माता के सदृश रक्षा करती हैं। पुष्य नक्षत्र में उसके स्वामी बृहस्पति अपनी पूजा से प्रसन्न होकर प्रचुत सद्बुद्धि प्रदान करते हैं। आश्लेषा नक्षत्र में नागों की पूजा करने से नागदेव निर्भय कर देते हैं, काटते नहीं। मघा नक्षत्र में हव्य-कव्य के द्वारा पूजे गए सभी पितृगण धन-धान्य, भृत्य, पुत्र तथा पशु प्रदान करते हैं। पूर्वाफाल्गुनी नक्षत्र में पूषा की पूजा करने पर विजय प्राप्त हो जाती है और उत्तराफाल्गुनी नक्षत्र में भग नामक सूर्यदेव की पुष्पादि से पूजा करने पर वे विजय कन्या को अभीप्सित पति और पुरुष को अभीष्ट पत्नी प्रदान करते हैं तथा उन्हें रूप एवं द्रव्य-संपदा से संपन्न बना देते हैं। हस्त नक्षत्र में भगवान सूर्य गंध-पुष्पादि से पूजित होने पर सभी प्रकार की धन-संपत्तियां प्रदान करते हैं। चित्रा नक्षत्र में पूजे गए भगवान त्वष्टा शत्रुरहित राज्य प्रदान करते हैं। स्वाती नक्षत्र में वायुदेव पूजित होने पर संतुष्ट जो परम शक्ति प्रदान करते हैं। विशाखा नक्षत्र में लाल पुष्पों से इंद्राग्नि का पूजन करके मनुष्य इस लोक में धन-धान्य प्राप्त कर सदा तेजस्वी रहता है।

अनुराधा नक्षत्र में लाल पुष्पों से भगवान मित्रदेव की भक्तिपूर्वक विधिवत पूजा करने से लक्ष्मी की प्राप्ति होती है और वह इस लोक में चिरकाल तक जीवित रहता है। ज्येष्ठा नक्षत्र में देवराज इंद्र की पूजा करने से मनुष्य पुष्टि बल प्राप्त करता है तथा गुणों में, धन में एवं कर्म में सबसे श्रेष्ठ हो जाता है। मूल नक्षत्र में सभी देवताओं और पितरों की भक्तिपूर्वक पूजा करने से मानव स्वर्ग में अचलरूप से निवास करता है और पूर्वोक्त फलों को प्राप्त करता है। पूर्वाषाढ़ा नक्षत्र में अप्-देवता (जल) की पूजा और हवन करके मनुष्य शारीरिक तथा मानसिक संतापों से मुक्त हो जाता है। उत्तराषाढ़ा नक्षत्र में विश्वेदेवों और भगवान विश्वेश्वर कि पुष्पादि द्वारा पूजा करने से मनुष्य सभी कुछ प्राप्त कर लेता है।

श्रवण नक्षत्र में श्वेत, पीत और नीलवर्ण के पुष्पों द्वारा भक्तिभाव से भगवान विष्णु की पूजा कर मनुष्य उत्तम लक्ष्मी और विजय को प्राप्त करता है। धनिष्ठा नक्षत्र में गन्ध-पुष्पादि से वसुओं के पूजन से मनुष्य बहुत बड़े भय से भी मुक्त हो जाता है। उसे कहीं भी कुछ भी भय नहीं रहता। शतभिषा नक्षत्र में इन्द्र की पूजा करने से मनुष्य व्याधियों से मुक्त हो जाता है और आतुर व्यक्ति पुष्टि, स्वास्थ्य और ऐश्वर्य को प्राप्त करता है। पूर्वाभाद्रपद नक्षत्र में शुद्ध स्फटिक मणि के समान कांतिमान अजन्मा प्रभु की पूजा करने से उत्तम भक्ति और विजय प्राप्त होती है। उत्तराभाद्रपद नक्षत्र मेँ अहिर्बुध्न्य की पूजा करने से परम शांति की प्राप्ति होती है। रेवती नक्षत्र श्वेत पुष्प से पूजे गए भगवान पूषा सदैव मंगल प्रदान करते हैं और अचल धृति तथा विजय भी देते हैं। अपनी सामर्थ्य के अनुसार भक्ति से किए गए पूजन से ये सभी सदा फल देने वाले होते हैं। यात्रा करने की इच्छा हो अथवा किसी कार्य को प्रारंभ करने की इच्छा हो तो नक्षत्र-देवता की पूजा आदि करके ही वह सब कार्य करना उचित है। इस प्रकार करने पर यात्रा में तथा क्रिया में सफलता होती है – ऐसा स्वयं भगवान सूर्य ने कहा है।

wish4me in English

vibhaajan ke samay pratipad aadi sabhee tithiyaan agni aadi devataon ko tatha saptamee bhagavaan soory ko pradaan kee gaee. jinhen jo tithi dee gaee, vah usaka hee svaamee kahalaaya. at: apane din par hee apane mantron se pooje jaane par ve devata abheesht pradaan karate hain.

soory ne agni ko pratipada, brahma ko dviteeya, yaksharaaj kuver ko trteeya aur ganesh ko chaturthee tithi dee hai. naagaraaj ko panchamee, kaartikey ko shashthee, apane lie saptamee aur rudr ko ashtamee tithi pradaan kee hai. durgaadavee ko navamee, apane putr yamaraaj ko dashamee, vishvedevaganon ko ekaadashee tithi dee gaee hai. vishnu ko dvaadashee, kaamadev ko trayodashee, shankar ko chaturdashee tatha chandrama ko poornima kee tithi dee hai. soory ke dvaara pitaron ko pavitr, punyashaalinee amaavaasya tithi dee gaee hai. ye kahee gaee pandrah tithiyaan chandrama kee hain. krshn paksh mein devata in sabhee tithiyon mein shanai: shanai: chandrakalaon ka paan kar lete hain. ve shukl paksh mein pun: solahaveen kala ke saath udit hotee hain. vah akelee shodashee kala sadaiv akshay rahatee hai. usamen saakshaat soory ka nivaas rahata hai. is prakaar tithiyon ka kshay aur vrddhi svayan sooryanaaraayan hee karate hain. at: ve sabake svaamee maane jaate hain. dhyaanamaatr se hee sooryadev akshay gati pradaan karate hain.doosare devata bhee jis prakaar upaasakon kee abheesht kaamana poorn karate hain, sankshep mein vah is prakaar hai:
pratipada tithi mein agnidev kee pooja karake amrtaroopee ghrt ka havan kare to us havi se samast dhaany aur aparimit dhan kee praapti hotee hai. dviteeya ko brahma kee pooja karake brahmachaaree braahman ko bhojan karaane se manushy sabhee vidyaon mein paarangat ho jaata hai. trteeya tithi mein dhan ke svaamee kuber ka poojan karane se manushy nishchit hee vipul dhanavaan ban jaata hai tatha kray-vikrayaadi vyaapaarik vyavahaar mein use atyadhik laabh hota hai. chaturthee tithi mein bhagavaan ganesh ka poojan karana chaahie. isase sabhee vighnon ka naash ho jaata hai. panchamee tithi mein naagon kee pooja karane se vish ka bhay nahin rahata, stree aur putr praapt hote hain aur shreshth lakshmee bhee praapt hotee hai. shashthee tithi mein kaartikey kee pooja karane se manushy shreshth medhaavee, roopasampann, deerghaayu aur keerti ko badhaanevaala ho jaata hai. saptamee tithi ko chitrabhaanu naamavaale bhagavaan sooryanaaraayan ka poojan karana chaahie, ye sabake svaamee evan rakshak hain. ashtamee tithi ko vrshabh se sushobhit bhagavaan sadaashiv kee pooja karanee chaahie, ve prachur gyaan tatha atyadhik kaanti pradaan karate hain. bhagavaan shankar mrtyharan karanevaale, gyaan dene vaale aur bandhanamukt karane vaale hain. navamee tithi mein durga kee pooja karake manushy ichchhaapoorvak sansaar-saagar ko paar kar leta hai tatha sangraam aur lokavyavahaar mein vah sada vijay praapt karata hai. dashamee tithi ko yah kee pooja karanee chaahie, ve nishchit hee sabhee rogon ko nasht karane vaale aur narak tatha mrtyu se maanav ka uddhaar karane vaale hain. ekaadashee tithi ko vishvedevon kee bhalee prakaar se pooja karanee chaahie. ve bhakt ko santaan, dhan-dhaany aur prthvee pradaan karate hain. dvaadashee tithi ko bhagavaan vishnu kee pooja karake manushy sada vijayee hokar samast lok mein vaise hee poojy ho jaata hai, jaise kiranamaalau bhagavaan soory poojy hain. trayodashee mein kaamadev kee pooja karane se manushy uttam bhaarya praapt karata hai tatha usakee sabhee kaamanaen poorn ho jaatee hain. chaturdashee tithi mein bhagavaan devadeveshvar sadaashiv kee pooja karake manushy samast aishvaryon se samanvit ho jaata hai tatha bahut se putron evan prabhoot dhan se sampann ho jaata hai. paurnamaasee tithi mein jo bhaktimaan manushy chandrama kee pooja karata hai, usaka sampoorn sansaar par apana aadhipaty ho jaata hai aur vah kabhee nasht nahin hota. apane din mein arthaat amaavaasya mein pitrgan poojit hone par sadaiv prasann hokar prajaavrddhi, dhan-raksha, aayu tatha bal-shakti pradaan karate hain. upavaas ke bina bhee ye pitrgan ukt phal ko denevaale hote hain. at: maanav ko chaahie ki pitaron ko bhaktipoorvak pooja ke dvaara sada prasann rakhe. moolamantr, naam-sankeertan aur ansh mantron se kamal ke madhy mein sthit tithiyon ke svaamee devataon kee vividh upachaaron se bhaktipoorvak yathaavidhi pooja karanee chaahie tatha jap-homaadi kaary sampann karane chaahie. isake prabhaav se maanav is lok mein aur paralok mein sada sukhee rahata hai. un-un devon ke lokon ko praapt karata hai aur manushy us devata ke anuroop ho jaata hai. usake saare arisht nasht ho jaate hain tatha vah uttam roopavaan, dhaarmik, shatruon ka naash karanevaala raaja hota hai.

isee prakaar sabhee nakshatr-devata jo nakshatron mein hee vyavasthit hain, ve poojit hone par samast abheesht kaamanaon ko pradaan karate hain. ashvinee nakshatr mein ashvineekumaaron kee pooja karane se manushy deerghaayu evan vyaadhimukt hota hai. bharanee nakshare mein krshnavarn ke sundar pushpon se banee huee maanyaadi aur hom ke dvaara pooja karane se agnidev nishchit hee yathesht phal dete hain. rohinee nakshatr mein brahma kee pooja karane se vah saadhaka kee abhilaasha pooree kar dete hain. mrgashira nakshatr mein poojit hone par usake svaamee chandradev use gyaan aur aarogy pradaan karate hain. aardra nakshatr mein shiv ke archan se vijay praapt hotee hai. sundar kamal aadi pushpon se pooje gae bhagavaan shiv sada kalyaan karate hain.

punarvasu nakshatr mein aditi kee pooja karanee chaahie. pooja se santrpt hokar ve maata ke sadrsh raksha karatee hain. pushy nakshatr mein usake svaamee brhaspati apanee pooja se prasann hokar prachut sadbuddhi pradaan karate hain. aashlesha nakshatr mein naagon kee pooja karane se naagadev nirbhay kar dete hain, kaatate nahin. magha nakshatr mein havy-kavy ke dvaara pooje gae sabhee pitrgan dhan-dhaany, bhrty, putr tatha pashu pradaan karate hain. poorvaaphaalgunee nakshatr mein poosha kee pooja karane par vijay praapt ho jaatee hai aur uttaraaphaalgunee nakshatr mein bhag naamak sooryadev kee pushpaadi se pooja karane par ve vijay kanya ko abheepsit pati aur purush ko abheesht patnee pradaan karate hain tatha unhen roop evan dravy-sampada se sampann bana dete hain. hast nakshatr mein bhagavaan soory gandh-pushpaadi se poojit hone par sabhee prakaar kee dhan-sampattiyaan pradaan karate hain. chitra nakshatr mein pooje gae bhagavaan tvashta shatrurahit raajy pradaan karate hain. svaatee nakshatr mein vaayudev poojit hone par santusht jo param shakti pradaan karate hain. vishaakha nakshatr mein laal pushpon se indraagni ka poojan karake manushy is lok mein dhan-dhaany praapt kar sada tejasvee rahata hai.

anuraadha nakshatr mein laal pushpon se bhagavaan mitradev kee bhaktipoorvak vidhivat pooja karane se lakshmee kee praapti hotee hai aur vah is lok mein chirakaal tak jeevit rahata hai. jyeshtha nakshatr mein devaraaj indr kee pooja karane se manushy pushti bal praapt karata hai tatha gunon mein, dhan mein evan karm mein sabase shreshth ho jaata hai. mool nakshatr mein sabhee devataon aur pitaron kee bhaktipoorvak pooja karane se maanav svarg mein achalaroop se nivaas karata hai aur poorvokt phalon ko praapt karata hai. poorvaashaadha nakshatr mein ap-devata (jal) kee pooja aur havan karake manushy shaareerik tatha maanasik santaapon se mukt ho jaata hai. uttaraashaadha nakshatr mein vishvedevon aur bhagavaan vishveshvar ki pushpaadi dvaara pooja karane se manushy sabhee kuchh praapt kar leta hai.

shravan nakshatr mein shvet, peet aur neelavarn ke pushpon dvaara bhaktibhaav se bhagavaan vishnu kee pooja kar manushy uttam lakshmee aur vijay ko praapt karata hai. dhanishtha nakshatr mein gandh-pushpaadi se vasuon ke poojan se manushy bahut bade bhay se bhee mukt ho jaata hai. use kaheen bhee kuchh bhee bhay nahin rahata. shatabhisha nakshatr mein indr kee pooja karane se manushy vyaadhiyon se mukt ho jaata hai aur aatur vyakti pushti, svaasthy aur aishvary ko praapt karata hai. poorvaabhaadrapad nakshatr mein shuddh sphatik mani ke samaan kaantimaan ajanma prabhu kee pooja karane se uttam bhakti aur vijay praapt hotee hai. uttaraabhaadrapad nakshatr men ahirbudhny kee pooja karane se param shaanti kee praapti hotee hai. revatee nakshatr shvet pushp se pooje gae bhagavaan poosha sadaiv mangal pradaan karate hain aur achal dhrti tatha vijay bhee dete hain. apanee saamarthy ke anusaar bhakti se kie gae poojan se ye sabhee sada phal dene vaale hote hain. yaatra karane kee ichchha ho athava kisee kaary ko praarambh karane kee ichchha ho to nakshatr-devata kee pooja aadi karake hee vah sab kaary karana uchit hai. is prakaar karane par yaatra mein tatha kriya mein saphalata hotee hai – aisa svayan bhagavaan soory ne kaha hai.

Check Also

pati-patni

सहानुभूति और समर्पण

यह कहानी एक साधारण बुखार के दौरान पत्नी के प्यार और सहारे की गहराई को दिखाती है। एक अद्भुत बंधन जो बीमारी के समय में भी अदभुत उत्साह और....