Breaking News

Sai Ram Sai Shyam……………………

Image result for sai baba

Om sai ram om sai shyam om sai bhagwan

Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan – 2
Karoona ke sagar daya nidhan shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan
Shirdi ke data sabse mahan

Sai charan ki dhool ko maathe jo lagaoge
Punya charon dhaam ka shirdi mein hi paoge
Hoga tumhara wahin kalyan shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan
Shirdi ke data sabse mahan

Koi shahanshah unko kahe shiv kahi to roop hain
Chhaya hain wo dharm ki karm ki wo dhoop hain
Padhate jo aaye hain ved puran
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Manawata ke sai ravi daya ke sai chand hain
Sanchi prem dor se rahe wo sabke bandhe hain
Mandir masjid ek samaan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Sabko samajhate wo ek saa raja ho ya rank ho
Bhed aur bhav ke mita rahe kalank ko
Sabko samjhate nij santan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Sai ke dwar har ghadi satya ki barkha ho rahi
Jhoothe iss jahan ki paap kale dho rahi
Karte hai sanka ka samadhan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Darr rahit kashish bhari sai se nirmal prit lo
Dushmani jo kar rahe unke dil bhi jeet lo
Sabpe chalate prem ke bann
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Sai hame sikha rahe sabka malik ek hai
Ek si nazar se wo rahe sabhi ko dekh hain
Karte na sahte jo abhimaan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Sai ke dwar shish dhar do ghadi jo so gaye
Nafraton ke naag bhi wish rahit ho gaye
Har ek mushkil wo karte aasan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Sai ke dar asar hota har dili fariyad ka
Beaulad bhi paa gaye shukh yaha aulaad ka
Bejaan bhi waha paata jaan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Door andhere kar rahi sai bhajan ki roshani
Rog sog har rahi sai naam sanjivani
Shradha saburi ka dete hai daan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Saaf shudh hoti hai jeenn dilo ki bhavna
Puri hoti unki hi sai ke dwar kamna
Kasht mitate kasht nidhaan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Sai ki dhooli se kabhi tum bhabhuti le bhi lo
Har bala se ladne ki tum daivi shakti le bhi lo
Jag mein badhate bhakton ki shan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Aastha mein bhig ke sai ko jo hai pukarte
Sai khaivaiya banke he unki naiya tarte
Mann ki dasa wo lete hai jaan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Chamtkaar sai baba ne jab nirale the kiye
Divya anokhe paani se jal gaye the sab diye
Pal mein kiya tha choor sab abhiman
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Jeen kurrur dushton ne dar dilo mein bhar diya
Sidhe sade sant ne sahi marg unko dikha diya
Shirdi ke data sabse mahan
Daya dharam ka wo dete hai gyaan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Sai ke dwar jo jhuke mail man ka saaf kar
Kusoor sabake sai ne maaf kiye unko apnakar
Kahta sahi hai sara jahan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Duniya bhar ki nemate sai ji ke paas hai
Maang le job hi hai mangana fir kyon itna udas hai
Sabko hi such ka denge vardaan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Nishchay vrichh ko yaha falte hamane dekha hai
Khote sikko ko bhi to chalet hamne dekha hai
Shradha ka dete sada vardaan
Shirdi ke data sabse mahan
Sai ram sai shyam sai bhagwan shirdi ke data sabse mahan

Check Also

vatt-tree

वट वृक्ष की धार्मिक विशेषताएं

हिंदू धर्म में वट वृक्ष को एक पवित्र और पूजनीय पेड़ माना जाता है, जिसे शक्ति, दीर्घायु, और समृद्धि का प्रतीक माना जाता है। इस पेड़ में....